Aakhir kon ho tum?




Tum accha waqt ho mera
Ya bura haal bhi ho?
Tum urooj ho mera
Ya mera zawaal bhi ho?

Kabhi kabhi sochte hai,
Kaun ho tum?
Mera wajood ho ya 
meri masnooyi ho tum?

Me lafz hu gar 
Kya syaahi ho tum?
Mere saath rehnewali
Wo parchai ho tum?

Tum gumaan ho mera,
Ya ruswai ho tum?
Tum dard ho agar,
Kya dawai bhi ho tum?

Mere kitne sawaalo'n ke
Kya jawaab ho tum?
Meri nekiyo'n ka
Kya koi sawaab ho tum?

Meri lat, mera nasha,
Kya mera junoon ho tum?
Meri namazo'n me dua,
Kya mera sukoon ho tum?

Meri zindagi ka mahaz
Ek qissa ho tum?
Ya mujhme basta muqammal
Ek hissa ho tum?

Kabhi toh aake milo mujhse,
Kabhi toh kaho aakhir kon ho tum?