Tum Aaoge Kya?




Tum aaoge kya?
Aaj fir mann udaas sa hai...
Behlane tum aaoge kya?
Aaj fir gali sunsan hai..
Tum apne kadam meri taraf le aaoge kya?
Aaj fir chaand nahi aaya
Ek jhalak dikhane tum aaoge kya?
Aaj bechaini si hai..
Mera haath pakadne tum aaoge kya?
Aaj fir hothon par hasi nahi hai...
Meri ek muskurahat ke liye tum aaoge kya?
Ek arsa beet gaya teri yaad mein...
Aakhri baar gale bhi na laga payi fariyaad me...
Jaise har baar jane se pehle gale lagte the...
Aaj fir mujhe gale lagane tum aaoge kya??
Kambhakt Tumhari yaad to din raat aati hai..
Par ye batao kabhi kisi din tum aaoge kya???