Nah poocho zamaane ko
Kya hamari kahani hai
Hamari pehchan toh sirf ye hai
K hum sirf hindostani hai
Kya hamari kahani hai
Hamari pehchan toh sirf ye hai
K hum sirf hindostani hai
Koi Sikh koi Jaat , Kashmiri, Parsi
Koi Gujrati koi Maratha, Sindhi, Madrasi
Sarhad par marne wala
Har veer hai Hindostan waasi
Jo khoon gira pahad par
Woh khoon tha hindostani
Jo Shaheed huye hai unki,
Zara yaad karo qurbani
Katra katra lahoo
Wo bahaye the
Tiranga ko jhukne nah de isliye
Hazaro ne jaan gawaye the
Watan nah koi chhod paaye
Hume pyaara yeh watan hai
Jiyo aur jeeno do ka
Sabko deta paigam hai
Mazhab nahi sikhata
Aapas me bair rakhna
Hindi hai hum
Watan hai Hindostan hamara
Lahoo lahoo me behta hai Hindostan
Phir kya Hindu kya Musalmaan
Bano insaan pehle chhodkr mazhab ki baat
Lado milkar darindo se hai sabka Hindostan
Kuch nasha tirange ki aan ka hai
Kuch nasha watan ki shaan ka hai
Khoon humara ek hai ek hi humari jaan hai
Hindostan humara ek hai hum iski shaan hai
Lehrayege hum Hindostani har jagah tiranga
Nasha ye Hindostan ki shaan ka hai.
