Kya Faraq Padta Hai!


Kya faraq padta hai!
Asal me hum kaise hai.
Jisne jaisi raye bana li,
Uske liye toh vaise hi hai.
Hum toh aaj bhi ajnabee hai tumhare liye
Humare hone nah honese tumko
Kya faraq padta hai!
Tum dil se nikal gaye ab
Kya faraq padta hai!
Tum kisi aur ke hogaye ab,
Sukoon kisi aur ka ban gaye ab,
Kya faraq padta hai!
Kya faraq padd jaata agar tum mere sath hote?
Jab mere the toh konse mere the,
Ab kisi aur ke ho toh kya faraq padta hai,
Pyaar shayad sacha tha isliye dard hua!
Par kya faraq padta hai,
Ab tumhe kisi aur se hai mohabbat,
Kya faraq padta h!
Agar woh ab bhi sachi nahi tab bhi kaha sacchi thi,
Are toh ab kya faraq padta hai!
Jab tab pada tha tab tum they nahi,
Ab tum ho jaha waha me nahi,
Ab mein sukoon me hoon par,
Uss sukoon me tum nahi!
Ab kya faraq padta hai,
Jab mere zindagi me hi tum nahi!
Shayad tum hote bhi toh wo sukoon nhi milta,
Ab tumhare hone nah honese kya faraq padta hai!
Beshaq tum bin adhoora toh nhi hu,
Magar me tum bin adhoora jiyu, nayi duniya me bhi tanha rahu ya phir mehfilo me tujko dhunda karu,
Tumko kya faraq padta hai!
Chahe me khush rahu ya nah rahu 
Kya faraq padta hai!
Baar baar chah kar bhi sath nah reh sake,
Are ab kya faraq padta hai!
Ye duniya ka dastoor hai jo sach ho gaya
Me kisi or ka or wo kisi or ka ho gaya
Phir bhi kya faraq padta hai!
Uske hote huwe bhi mere tanhai ka kissa mashoor ho gya,
Kamaal toh tab hua jab wafa karke bhi me bewafa or wo bekasoor ho gaya.
Khair kya faraq padta hai!
Mere honese, naah honese, 
Mera kisi or ko chahne se 
Apne liye nayi khushiyo ka khwab sajaane se 
Ab tumko kya faraq padta hai!
Faraq paddta bhi hai toh q?
Bardasht nhi hota na tumko chahne wala kisi or ko chahe toh!
Tumko bardasht ho ya na ho issey mujhe koi faraq nhi padta!
Tod jo di saari kasme tumne,
Isliye mita di wafai humne.
Tum aur me ab hum nhi rahe,
Toh kya faraq padta hai!