Insaan jo nahi hai
Wohi dikhane ka dhong karta hai
Jo shareef nahi hai woh
Sharafat ka dhong karta hai
Buzdil bahadur hone ka dhong karta hai
Dil mein lalach hota hai aur
Zubaan se mohabbat ka dhong karta hai
Aur kabhi dil mein mohabbat hoti hai toh Zubaan se anjaanepan ka dhong karta hai
Insaan ki mitti mein
Dhong mila hua hai 'Asheyah'
Mitti ko dhong ke pani se hi ghoondkar
Maalik ne insaan banaya hai