Aye waqt guzar zara aahiste aahiste,
Mujhe kuch kehna baaqi hai.
Jaldi naah kar,
Ab toh bahut sunna sunana baaqi hai.
Hamare sabr ka ek imtihan baaqi hai ,
Isi liye to abhi tak ye jaan baaqi hai .
Abhi zameer me thodi si jaan baaqi hai ,
Abhi hamara koi imtihan baaqi hai.
Mera usool hai ghazlo me sach bayaan karna
Mai mar toh gaya mera khanda baaqi hai.
Mai chand par hu magar mutmain nahi hu,
Mere pairo'n me abhi bhi udaan baaqi hai.
Touba qubool hone ki umeed hai mujhe,
Magrib se aftab abhi chadhna baaqi hai.
Tumhe to sach ko ugalne ki thi badi aadat
Tumhare muh me abhi tak zaban baaqi hai.
Hamari maut ko barso guzar gaye lekin ,
Badan ke khaak se ab tk milan baaqi hai.
Hamare zehn ki basti me aag aisi lagi,
Ki jo tha khaak hua ek dukan baaqi hai .
Wo zakhm bhar gaya arsa hua magar ab tak,
Zara sa dard zara sa nishaan baaqi hai.
Mita do jism se meri nishaniya lekin ,
Tumhari rooh pe mera nishaan baaqi hai.
Hamare ghar ko to ujde hue zamana hua,
Magar suna hai abhi vo makan baaqi hai.
Hamari un se jo thi guftugu wo khatm hui,
Magar sukut sa kuchh darmiyan baaqi hai.
Zara si baat jo faili to daastaan bani,
Wo baat khatm hui daastaan baaqi hai.
Abhi to shahr ke khandaro me jhankna hai mujhe ,
Ye dekhna bhi to hai koi yaar baaqi hai.
Abhi to lena hai hum ko hisab-e-shahr-e-qital
Abhi to hausla-e-karobar baaqi hai .
Mile the barso pehle unhi galliyo me hum kahi,
Haan thode paas aaye hai magar mulaqat baki hai.
Sun aye mere syaahi mere kalam ko daga naah de,
Thoda likha hai aur bahut likhna baaqi hai.